Pooch ankhon se Kiya kitna intezar tera


Pooch ankhon se Kiya kitna intezar tera
Ban k dharkan dil mein basa piyar tera,

Apni palkon ki Chaaon mein saja le mujh ko
Maar dale na Qasam se ye khumar tera,

Mera mehboob khila hai aaj pholon ki tarah
Karon shukriya main kese aye bahar tera,

Rukh_e_Mehtab se zara zulf hata kar to dekho
Thehra hai aaj waqt bhi karne deedar tera,

Yunhi saya ban k zindagi bhar Sang chalna
Mujhe sari duniya Se ziyada hai Aitbaar tera.

2 comments:

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...